Hi there! Are you looking for some attitude shayari in English but can not find your favorite lines? Donot worry. You will find everything you need right here. Shayari is a beautiful way to express emotions, and when it comes to attitude, it adds a unique flair. Whether you want to show confidence, style, or sass to your girlfriend, boyfriend, or someone else, these lines will resonate with anyone who appreciates the art of attitude. Let’s explore our collection that capture the essence of attitude.
Zabardasti izzat karwai nahi jati
Balke izzat karwane ke qabil banna padta hai.
Meri moonchhon ko takabbur samajhne wale
Zara aankhon ki masoomiyat ko to dekh.
Main sirf do kaam jaanta hoon
Allah ko yaad karna aur dushman ko barbaad karna.
Hum se na neem sehar ke lahje mein baat kar
Hum woh nahi hain jinhein uncha sunai de.
Apne sar se maar ke phenk dete hain unhein
Jin ko gumaan ho ke unke bina ji nahi sakte hum.
Khud pasandi ki nahi baat karamat ki hai
Hum ne jis shakhs ko chaaha wahi mashhoor hua.
Jaise har sawaal ka jawab nahi hota
Waise hi har insaan hamari tarah nawab nahi hota.
Thodi khuddaari bhi laazmi thi doston
Usne haath chhudaaya toh humne chhod diya.
Main logon se mulaqaaton ke lamhe yaad rakhta hoon
Baatein bhool bhi jaaun, par lehje yaad rakhta hoon.
Jise nibha na sakoon, aisa wada nahi karta
Dawa koi auqaat se zyada nahi karta.
Chehre sabke yaad hain mujhe
Hisaab jis din bhi loonga, acche se loonga.
Jin se mil kar tum ghamand karte ho
Woh hum se milne ke liye taraste hain.
Meri auqaat apne baap se pooch
Jab bhi milta hai, pehle salaam thokta hai.
Mere sign jab woh apne nikaah naamay pe paayengi
To phir woh apne Rabb ki kaun kaun si ni’mat ko jhutlayengi.
Mazaj mein thodi sakhti laazmi hai janab
Log pee jaate samundar agar khaara na hota.
Aksar wahi log uthaate hain hum par ungliyan
Jin ki humein chhoone ki auqaat nahi hoti.
Achha hoon toh achha hi rehne do
Bura ban gaya toh jeelne ki auqaat nahi tumhari.
Main toh bas ek mamooli sa sawaal hoon
Aur log kehte hain tera koi jawab nahi.
Khauf toh aawara kutte bhi machate hain
Par dehshat hamesha sher ki hi rahti hai.
Parakh na sakoge aisi shakhsiyat hai meri
Main unke liye hoon jo jaane qadr meri.
Kutte bhonkte hain zinda hone ka ehsaas dilane ke liye
Jungle ka sunaata sher ki maujoodgi bayan karta hai.
Rani nahi toh kya hua ye baadshah
Aaj bhi laakhon dilon par raaj karta hai.
Sher ki bhook aur hamara lok
Dono hi jaan lewa hain.
Sab ke dilon mein dhadakna zaroori nahi hota
Logon ki aankhon mein khatakne ka bhi ek maza hai.
Tu masroof rahe tere apne ghamand mein
Main bhi mashghool hoon ab apne attitude ke suroor mein.
Churchon mein rehne ka humein koi shauk nahi
Hamari har baat ke charchay hain, toh hum kya karein.
Mat lo mere sabr ke band ka imtihan
Jab jab ye toota, toofan hi aaya hai.
Zameen par reh kar aasman chhoone ki fitrat hai meri
Par gira kar kisi ko upar uthane ka shauk nahi mujhe.
Ye mat samjho ke tere qabil nahi hai hum
Tadap rahe hain woh, jise haasil nahi hai hum.
Sambhal kar kya karo logon se burai meri
Tumhare tamam apne mere hi mureed hain.
Oqaat nahi thi zamane ki jo meri qeemat laga sake
Kambakht ishq mein kya gire, muft mein nihaam ho gaye.
Main sooraj ke saath reh kar bhi bhoola nahi adab
Log jugnu ka saath paa kar magroor ho gaye.
Apne sar se maar ke phenk dete hain unhein
Jin ko gumaan ho ke unke bina ji nahi sakte hum.
Khud pasandi ki nahi baat karamat ki hai
Hum ne jis shakhs ko chaaha wahi mashhoor hua.
Ana masla hi nahi mera, baat izzat-e-nafs ki hai
Koi lahje badle to raasta badal leta hoon mein.
Har shakhs nahi hota har shakhs ke qabil
Har shakhs ko apne liye socha nahi karte.
- मेरी Attitude Shayari In English को पढ़ने के लिए अपना कीमती समय देने के लिए बहुत-बहुत धन्यवाद। आशा है कि यह पोस्ट दूसरों की तरह ही दिलचस्प होगी। आप सभी का आभार यहाँ आपको कई और विषयों पर attitude shayari 2 line मिलेंगे।